Sunday, May 13, 2012

Still Suffering.....














socha tha 1st Year me kar lo thodi padhai,
 2nd year me to karna h bhot aaram,
magar kitni galat soch thi meri,
4th sem me ho gaya h jeena haraam.


kal tak sirf Counter Strike ke liye use kiya karte the computer ki hard disk aur RAM,
aaj usi computer pe compile karte h Heapsort aur Binary tree ke programs,
proxy banane ke alawa aur kuch bhi nahi aata tha,
ab Resume bhi likh lete h , A very big thanks to english waali maam,

padh padh kar Discrete Maths ke algebraic structure
ho gaye hum Total ghanchakkar,
padh kar computer ke bits and bytes,
badal gaya h dimag ka Memory Structure.


padh-padh kar Phonetics ban gaye hum total angrez,
hindi to bhul hi gaye h, chad gaya h videshi bhashao ka craze,

Recursive tree ke recursion ne , kar diya life ka destruction,
bolne ko kuch bacha nahi, But we are supporting Anna against corruption.

padh lo Cormen samaj me aa jayega Algorithm and Shortest path,
darne ki kya h baat jab tak uparwale ka h apne sir pe hath,
aur ho sakta h humari branch me bhi mass bunk,
bas mil jaye ek baar branch ke toppers ka sath,...............


Copyright © 2012 Piyush Golani All Rights Reserved

2 comments: